Tuesday, 28 July 2015

Gham mujhe hasrat mujhe...

Gham mujhe, hasrat (longing) mujhe, wahshat (fear) mujhe, sauda (frenzy/madness) mujhe;
ek dil deke khudaa ne de diya kya kya mujhe.

Hai husuul-e-aarzoo (acquisition of a desire) ka raaz tark-e-aarzoo (discard of desire);
main ne duniya chhor di to mil gayi duniya mujhe.

kah ke soya hoon ye apne iztaraab-e-shauq (restlessness of love) se;
jab vo aayen qabr par, fauran jagaa denaa mujhe.

subah tak kya kya terii ummeed ne taane diye;
aa gaya tha shaam-e-gham ik neend ka jhonkaa mujhe.


ye namaaz-e-ishq (worship of love) hai, kaisa adab (etiquette) kiska adab?
apne paa-e-naaz (delicate feet) par karne bhi do sajdaa mujhe.

dekhte hi dekhte duniya se main uth jaaunga;
dekhti ki dekhti rah jaayegi duniya mujhe!!

~Seemab Akbarabadi





No comments:

Post a Comment