Wednesday, 15 October 2014

Sar mein sauda bhi nahin....

Sar mein sauda (madness) bhi nahin dil mein tamanna (desire) bhi nahin,
lekin is tark-e-mohabbat (separation)* ka bharosa (assurance/guarantee) bhi nahin.

Yun to hungaame (hue and cry) uthaate nahin deewana-e-ishq (mad lovers),
magar ai dost kuch aison ka thikaana bhi nahin.

Muddatein (ages) guzrin teri yaad bhi aayi na hamein,
aur hum bhool gaye hon tujhe aisa bhi nahin.

Ye bhi sach hai ke mohabbat pe nahin main majboor,
ye bhi sach hai ke tera husn (beauty) kuch aisa bhi nahin.

Dil ki ginti na yagaanon (acquaintance) mein na be-gaanon (strangers) mein,
lekin is jalvaa-gaah-e-naaz (place where splendor of the beloved is on display) se uthta bhi nahin.

Bad-gumaan (unsuspicious) ho ke mil ai dost jo milna hai tujhe,
ye jhijhakte huwe milna koi milna bhi nahin.

Shikwa-e-jaur (complaint of oppression) kare kya koi us shokh (mischevious) se jo,
saaf qaayal (favouring) bhi nahin saaf mukarta (denying) bhi nahin.

Meherbani (kindness) ko mohabbat nahin kehte, Ai Dost,
Aah! mujh se to teri ranjish-e-bejaa (uncalled for anger) bhi nahin.

Baat ye hai ke sukoon-e-dil-e-vehshi (peace of the crazy heart) ka maqaam (place),
kunj-e-zindaan (corner of a prison) bhi nai vusa'at-e-sehra (vastness of desert) bhi nahin.

Tumne poochha bhi nahi humne bataaya bhi nahin,
kaun sa raaz wo aisa tha ki jaana bhi nahin.

Tujhse sambhlein to sambhaal apne hijaab-e-bebaak (open veil),
Main uthaata had-e-aadaab (limit of politeness) tamaasha bhi nahin.

Haaye, wo raaz-e-muhabbat (secret of love) jo chhupaye na bane!
Haaye, wo daagh-e-muhabbat (scar) jo ubharta bhi nahin!

Aah! ye majma-e-ahbaab (crowd of relatives) ye bazm-e-khaamosh (silent gathering),
Aaj mahfil mein Firaaq-e-sukhan-aaraa (Firaaq-The poet) bhi nahin.

Munh se hum apne bura to nahin kehte ke, 'Firaaq',
hai tera dost magar aadmi achha bhi nahin...

~Firaaq Gorakhpuri
Singer - Tina Sani



2 comments: