Tuesday, 1 January 2013

Khwaab marte nahin...

Khwaab marte nahin

Khwaab dil hain na aankhen na saansen
ke jo
reza-reza hue to bikhar jayenge
jism ki maut se ye bhi mar jayenge

Khwaab marte nahin

Khwaab to raushni hain, nawa(sound) hain, hawa hain
jo kaale pahaadon se rukte nahin
zulm ki dozakhon(hells) se bhii phunkte nahin

Raushni aur nawa aur hawa ke alam(flags)
maqtalon(place of execution) mein pahunch kar bhi jhukte nahin

Khwaab to harf(letter/word) hain
Khwaab to nuur(light) hain
Khwaab suqraat(Socretes) hain
Khwaab mansuur(victorious) hain

~Ahmed Faraz


No comments:

Post a Comment