in urti titliyon, aawaara bhanwron ko;
tasalsul (continuity) toot jayega...
Faza (atmosphere) mahv-e-sama'at (engrossed in listening) hai,
hasiin hothon ko naghma-rez (songful) rahne do.
Nigahen niichi rakho, aur mujassim gosh ban jao (become all ears*) .
Agar jumbish (movement) labon (lips) ko di,
tasalsul toot jayega...
Hawa se pattiyaan sargoshiyon (whispering) mein mahv (engrossed) hain.
Aur jhoomti shaakhon (branches) ke jhoolon mein,
parindon ki chahek se saara saahil (seashore)
sarmadi (eternal) ehsaas me dooba hua
sarshaar-o-shaadan (tippled and happy) hai.
Agar kankar bhi satah-e-aab (surface of water) par maara,
tasalsul toot jayega...
Ufaq (horizon) mein doobte suraj ka manzar (scene)
iss balandi (altitude) se zara dekho.
Isi rangiin (colourful) kinaare par,
shafaq (rays) sona lutayegi.
Yun hi tum behis-o-saakit (senseless and bestill) raho;
aise mein,
palkein bhi zara jhapkiin,
tasalsul toot jayega...
Woh khwabeeda (dreamy) hai, khwabeeda hi rehne do.
Na jaane khwaab mein kin waadiyon ki sair karti ho.
Balandi se phisalte aabshaaron (waterfall) me kahin gum ho.
Falak-aasaar (high as the sky) choti (peak) par kahin mehv-e-tarannum (engrossed in melody) ho.
Agar aawaz dii tum ne,
tasalsul toot jayega...
Main shaayar hoon,
meri fikr-e-rasaa (reach of imagination) ehsaas ki us satah par hai,
jismen khushboo rang bantii hai,
sada (call) ko shakl milti hai,
tasawwur (imagination) bol uthta hai,
khamoshi gungunati hai.
Yeh waqfa (interlude) hai;
aise mein,
agar daad-e-sukhan (praise for speech) bhi di;
tasalsul toot jayega...
~Mohsin Bhopali
*mujassim - embodiment, gosh - ear
No comments:
Post a Comment