Main shayar hoon,
"Batayein to bhala kya hai!
Muhabbat aakhirish hai kya?"
Wasi, main hans ke kehta hoon:
"Kisi pyaase ko apne hisse ka paani pilana bhi
muhabbat hai.
Bhanwar mein doobte ko saahilon tak le ke jaana bhi
muhabbat hai.
Kisi ke waaste nanhi si qurbaani -
muhabbat hai.
Kahin hum raaz saare khol sakte hon,
magar phir bhi
kisi ki be-basi ko dekh kar,
khaamosh reh jana -
muhabbat hai.
Ho dil mein dard, veerani
magar phir bhi,
kisi k waaste jabran hi honthon par hansi laana,
zabardasti hi muskaana -
muhabbat hai.
Kahin baarish mein sehme bheegte billi ke bachche ko,
zara si der ko ghar le ke aana bhi muhabbat hai.
Koi chiriya jo kamre mein bhatakti aan nikli ho,
To us chiriya ko pankhe band kar ke raasta baahir ka dikhlaana -
muhabbat hai.
Kisi ke zakhm sehlaana,
kisi rotey hue ke dil ko behlana -
muhabbat hai.
Ke meetha bol,
meethi baat,
meethe lafz -
sab kya hai?
Muhabbat hai.
Muhabbat ek hi bas ek hi insaan ki khaatir
magan rehna,
hama-waqt uski baaton,
khushbuon mein dolna kab hai?
Muhabbat uski zulf ke bal kholna kab hai?
to aksar log mujh se poochhte hain;
iss hasiin israar ke baare:

Muhabbat ke hazaaron rang, laakhon ista'aare hain.
Kisi bhi rang mein ho ye mujhe apna banati hai.
Ye mere dil ko bhaati hai..."
~Wasi Shah
Kisi bhi rang mein ho ye mujhe apna banati hai.
Ye mere dil ko bhaati hai..."
~Wasi Shah
No comments:
Post a Comment